Monday 15 July 2013

Kya Jindagi Hai

Kya jindgi hai soch k dard hota hai,
ek hasta hai to ek yaha rota hai,
kitne hi raste humne tay kar liye hai,
pata nh ab kis raste me jana hota hai,
jindgi me gam hai khushi hai aur b kai mod hai,
har safar me dost naya hota hai,
kuch log kisi k intjaar jindgi bita dete hai,
kuch logo ka har safar me sathi naya hota hai,
koi mil jaye jiske sath jindgi gujar du,
ab to 'RAHUL' ko bas intjar uska hota hai.
Ai mere hamsafar meri jindgi me aaja,
tere liye hi ab ye dil bekarar hota hai.
Aaja aaja aaja aaja meri jindgi kaha hai
tu tujhe baaho me bharne ko ji chahta hai

No comments:

Post a Comment