Monday 15 July 2013

jindgi me koi kabhi aye na rabba,

jindgi me koi kabhi aye na rabba,
aye jo koi to fir jaye na rabba,
dene ho gar mujhe baad me ansu ,
to pahle koi hasaye na rabba,

dil k jo arman the dil me hi rah gaye ,
ashiki jo ki to hum ashko me bah gaye,

gam ka fasana hai dard ye puranaa hai
itna bhi koi yaad aye na rabba

jindgi me koi kabhi aye na rabba...............

yahi sochta hu kaise usko bhulaunga,
na wo kabhi ayegi na use bhul paunga

jine ka thikana hai na marne ka bahana hai
itna bhi koi sataye na rabba

jindgi me koi kabhi aye na rabba....
aye jo koi to fir jaye na rabba,
dene ho gar mujhe baad me ansu ,
to pahle koi hasaye na rabba

No comments:

Post a Comment