Monday 15 July 2013

jindgi hai aur safar anjan hai,

Akela hi to tha mai,kyu meri jindgi me aye,mujhe pyar kiya,mere har dukh me mera sath diya,aur fir achanak mujhe akela chhodkar chale gaye,yahi karna tha to q mujhe pyar kiya,kya tb nh pata tha ki jab tum dur hoge tab ek aur gam mujhe saha nahi jayega, 
jab akela tha tab chal to raha tha,ab to halat ye ho gayi hai ki na jiya jaye na mara jaye,meri kya galti hai apne mujhe kabhi nh btaya,kya meri yahi galti hai k maine har pal apko yad kiya,apke liye duwaye mangi,agar meri yahi galti hai to q apne mujhe itna pyar diya?apne mujhe bas ye sikhaya ki kaise pyar kare kabi ye nh bataya ki kaise roke aur kaise nafrat kare,mujhe to itni b samajh nh hai ki ye sab mai apne se sikh saku,ab to bas jindgi hai aur safar anjan hai,manjile hai aur dil e naadan hai,akele the alele hai aur ab akele hi chalte rahenge chalte rahenge. 
(alvida mere dost) 
jindgi hai aur safar anjan hai,manjile hai aur dil e nadan hai, 
tum juda hamse hue kya sochkar, 
ham abi is baat se anjan hai, 
ye safar katta nh tere bina, 
chain b milta nh tere bina, 
waqt k charo taraf ye nishan hai, 
manjile hai aur dil e nadan hai, 
bhul sakte hai na tjhko ek pal, 
yaad ate ho mujhe tm aajkal, 
ab juda mujhse mera ye jahan hai,manjile hai aur dil e nadan hai. 
Jindgi hai aur safar anjan hai.manjile hai aur dil e nadan hai,

No comments:

Post a Comment