Monday 15 July 2013

Hajar raste hai

Hajar raste hai jindgi me chalne ko mere
jaha tu nh to fir chalu kaise
teri masum si adaye tera wo gahra pyar
ek pal me tut jaye to use pau kaise
bhul sakta nh kbi wo tera ruth jana tera
kaise aye sukun k tujhe manau kaise
tu mera nh kisi aur ka ho jaye
aise pal ko fir mai dekh pau kaise
najo se tujhko chaha h jindgi bhar k liye
ab tujhe chahne se khud ko rok pau kaise
pyar kitna kiya tujhe kbi jata nh skta
ek pal me tujhko wo sb dikhau kaise
mohabbat k safar me mjhe ye dard mila
ab is dard me mai fir se khush rahu kaise
tere siva ek pal kisi ko yad na kiya
aye bhagwan tujhko bhul jau kaise 





















Kash Hum Bata Pate

Kaash Ham Bata Paate
Kitna Chaha Hai Tum Ko
Kitna Pooja Hai Tum Ko
Kis Qadar Mohabbat Hai,
Kis Qadar Zarorat Hai
Kaash Ham Bata Paatay
Jaan Ye Tumhari Hai,
Her Khushi Tumhari Hai
Dil Lagi Tumhin Say Hai
Zindagi Tumhin Say Hai
Kaash Hum Bata Paatay
Rooh Ki Zarorat Ho
Dil Ki Ibadat Ho
Meri Tum Muhabbat Ho
Kaash Hum Bata Paatay
Sirf Tum Muhabat Ho
Sirf Tum Ko Chaha Hai
Sirf Tum Hi Chahat Ho
Kaash Ham Bata Paatay....

Sath Chalne Ka Maja

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Stay Here for more updates

Tere parwah ki wajah se beparwah ho gaya hu.
 teri chahat ka talabgar ho gaya hu,
maine socha tha tujhe dil ki gahrai se nh lunga,
pata nh kaise tujhpar nisar ho gaya hu.
Kisi aur ki chahat par to kuch kah nahi sakta,
par tumhari chahat ko wafadar ho gaya hu.
Maine kabhi na socha tha ki ek din ye bhi ayega,
pata nahi kaise takht e yaar ho gaya hu.
Rahul ki mohabbat ki tum bhi kadar karna.
Ab tumhare liye jaan haajir sarkar ho gaya hu



 

Kya Jindagi Hai

Kya jindgi hai soch k dard hota hai,
ek hasta hai to ek yaha rota hai,
kitne hi raste humne tay kar liye hai,
pata nh ab kis raste me jana hota hai,
jindgi me gam hai khushi hai aur b kai mod hai,
har safar me dost naya hota hai,
kuch log kisi k intjaar jindgi bita dete hai,
kuch logo ka har safar me sathi naya hota hai,
koi mil jaye jiske sath jindgi gujar du,
ab to 'RAHUL' ko bas intjar uska hota hai.
Ai mere hamsafar meri jindgi me aaja,
tere liye hi ab ye dil bekarar hota hai.
Aaja aaja aaja aaja meri jindgi kaha hai
tu tujhe baaho me bharne ko ji chahta hai