Tuesday 17 September 2013

जुल्म करता है ये जमाना तो उसे करने दो

julm karta hai ye jamana to use karne do
apne hotho me mera naam sada rahne do
karke wade jamane k sath chhod gaye
aise logo ko hamse khafa rahne do
muskil hai pyaar me thodi to hum sah lenge
kuch pal tere bina to hum b rah lenge
apne dil me kuch pal mujhe rah lene do
wo khafa hai hamse to khafa rahne do


Wo khafa hai humse to khafa hi rehne do
Humko unka Gunahgaar hi rehne do
Wo samjhte hain ke humne chhod diya unko
Baat to jhoot hai magar sach hi rehne do
Muddato mangi hai KHUDA se khushiyan unki
Jo aata hai ilzam hum pe to ilzam hi rehne do
Unki shart hai k main BEWAFA banu
Agar khushi mile unko to mujhe BEWAFA hi rehne do
Aayega waqt to dikhayenge unko apna ZAKHAM
Abhi khamosh hain humko bas KHAMOSH HI RAHNE DO

Sonu Pal




No comments:

Post a Comment